|
Majju : Yaar main tu compulsory english ke paper ki tayyari kar kar ke thak gaya hoon !!! Ek tu waise hi english kamzoor hai oopeer se yeh drama .... Hajju : Aisa kya ho gaya Majju bhai...itna preshaan kyon hain... Majju : Amaan doosri baar paper cancel ho gaya... Hajju : Kya ? Second time cancel... Ho sakta hai university administration chah raha ho ki ise bahane students kuch apni english aur mazboot kar lain ..... Majju : Dekho partner tum mujhe tapa rahe ho... Hajju : Aap tu bura maan gaye Majju Bhai...Waise hoa kya, kyon hoa cancel paper.. Majju : Pehli baar university main mahol sahi nahin tha isliye kuch students ne yeh paper cancel kara diya tha... Hajju : Lekin ab tu mahol bilkul sahi hai..ab kya hoa.. Majju : This time wohi purana paper de diya jo last time diya tha...(same paper) aur Hoa aisa ki paper start ho gaya tha... lekin Ek Sahab ne sara mamla kharab kar diya..unhone yeh baat teachers ko leak kar di ki last time it was same paper... Bus phir kya tha ho gaya cancel... Hajju : Acha hoa cancel ho gaya !!!...warna english main saare student top kar lete.. aur delhi ja kar hangama kaat dete...
|